Facebook
Twitter
Report Problem

Jab Deep Jale Aana Lyrics

K. J. Yesudas - Jab Deep Jale Aana
Quelle: Youtube
0:00
0:00
Jab deep jale aana, jab shaam dhhale aana
Sanket milan ka bhool na jaana mera pyaar na bisraana
Jab deep jale aana…

Main palkan dagar buhaarunga
Teri raah nihaarunga
Meri preet ka kaajal tum apne naino mein male aana
Jab deep jale aana…

Jahaan peheli baar mile the ham
Jis jagaah se sang chale the ham
Nadiya ke kinaare aaj ussi
Amwa ke tale aana
Jab deep jale aana…

Ni Re Ga, Re Ga, Ma Ga Re Sa Sa Ni
Pa Pa Ma, Re Ga, Sa Ni Sa Ga Pa Ma Pa

Aa aa aaaa

Nit saanjh sawere milte hain
Unhein dekhke taare khilte hain
Lete hain wida ek duje se kehte hain chale aana
Jab deep jale aana
Made with in Berlin
© 2000-2024 MusikGuru